sabhī  rāste  tire  naam  ke  sabhī  fāsle  tire  naam  ke
kabhī  mil  mujhe  mirī  soch  ke  sabhī  dā.ere  tire  naam  ke
mire  kaam  ke  to  nahīñ  haiñ  ye  ye  jo  mere  lāt-o-manāt  haiñ
ye  mujhe  aziiz  haiñ  is  liye  ki  haiñ  silsile  tire  naam  ke
maiñ  sharāb  piitā  to  kis  tarah  mujhe  tere  hukm  kā  paas  thā
magar  aaj  saaqī  ne  jab  diye  mujhe  vāste  tire  naam  ke
koī  mimbaroñ  pe  hai  mo'tabar  koī  sar-kashīda  hai  daar  par
vo  sahūlateñ  tire  zikr  kī  ye  mujāhide  tire  naam  ke
yahāñ  jo  bhī  thā  vo  tujhī  se  thā  yahāñ  jo  bhī  hai  vo  tujhī  se  hai
sabhī  aks  haiñ  tirī  zaat  ke  sabhī  rañg  the  tire  naam  ke
abhī  maiñ  ne  zulmat-e-shab  kī  samt  nigāh  Daalī  thī  ġhaur  se
ki  kisī  ne  dil  kī  muñDer  par  diye  rakh  diye  tire  naam  ke