Sayil Imran

har kisi aankh ka badla hua manzar hoga

Sayil Imran

Thanamandi, Jammu and Kashmir, India

1993
har kisī aañkh kā badla huā manzar hogā
shahr-dar-shahr masīhāoñ kā lashkar hogā
ā.ina-rū hai agar dil to hifāzat kiije
kis ko ma.alūm hai kis haath meñ patthar hogā
le ke paiġhām-e-ḳhizāñ aayā hai mere dar pe
vo jo kahtā thā ki āñgan meñ sanobar hogā
phir siyāsat kī mahak aane lagī hai mujh ko
jaane ab kaun mire shahr meñ be-ghar hogā
chhū ke dekho to sahī us meñ namī baaqī hai
ye jo sahrā hai kisī vaqt samundar hogā
Top Urdushayar.com