har  kisī  aañkh  kā  badla  huā  manzar  hogā
shahr-dar-shahr  masīhāoñ  kā  lashkar  hogā
ā.ina-rū  hai  agar  dil  to  hifāzat  kiije
kis  ko  ma.alūm  hai  kis  haath  meñ  patthar  hogā
le  ke  paiġhām-e-ḳhizāñ  aayā  hai  mere  dar  pe
vo  jo  kahtā  thā  ki  āñgan  meñ  sanobar  hogā
phir  siyāsat  kī  mahak  aane  lagī  hai  mujh  ko
jaane  ab  kaun  mire  shahr  meñ  be-ghar  hogā
chhū  ke  dekho  to  sahī  us  meñ  namī  baaqī  hai
ye  jo  sahrā  hai  kisī  vaqt  samundar  hogā