duā.eñ  kījiye  ġhunchoñ  ke  muskurāne  kī
abhī  umiid  hai  baaqī  bahār  aane  kī
maiñ  jin  kā  dil  meñ  tasavvur  sajā.e  rakhtā  huuñ
koī  to  raah  mile  un  tak  aane  jaane  kī
talāsh  ḳhud  hī  maiñ  kar  lūñgā  aap  ke  ghar  ko
na  dūñgā  aap  ko  zahmat  maiñ  ghar  pe  aane  kī
baġhair  us  ke  mujhe  niiñd  kaise  aa.egī
duā.eñ  dete  ho  tum  kyuuñ  mujhe  sulāne  kī
vo  naġhme  sañg  ko  bhī  kar  deñ  mom  jo  'sāhil'
hameñ  to  aaj  bhī  aadat  hai  gungunāne  kī