Ajiz Kamaal Rana

zamane bhar ka jo sara dukh hai hamara dukh hai

Ajiz Kamaal Rana

Khushab, Punjab, Pakistan

2000

zamāne bhar jo saarā dukh hai hamārā dukh hai

yaqīñ karo jo tumhārā dukh hai hamārā dukh hai

ye saarī duniyā hamāre dukh se bharī paḌī hai

ye chāñd sūraj sitāra dukh hai hamārā dukh hai

tumhārī nisbat se jo mujh ko milā huā hai

ye hijr bhī kitnā pyārā dukh hai hamārā dukh hai

ye duniyā goyā hai ek building pe kaam jaarī

hai us meñ shāmil jo gaarā dukh hai hamārā dukh hai

dukhoñ koī bhī isti.āra nahīñ hai mumkin

dukhoñ har isti.āra dukh hai hamārā dukh hai

hamārī duniyā hai ek dariyā ke jaisī 'ājiz'

vo jis har ik kinārā dukh hai hamārā dukh hai

Top Urdushayar.com