Ajiz Kamaal Rana

mushkil ko zara chhoD ke aasan ke bare

Ajiz Kamaal Rana

Khushab, Punjab, Pakistan

2000

mushkil ko zarā chhoḌ ke āsān ke baare

kuchh soch mirī tañgī-e-dāmān ke baare

ik tere bulāve pe bahal jaatā hai varna

ma.alūm hai mujh ko dil-e-nādān ke baare

āġhāz-e-mohabbat meñ tavakkul hai zarūrī

mat soch kisī fā.eda nuqsān ke baare

is shahr meñ har shaḳhs ko sone paḌī hai

hālāñki batāyā bhī hai tūfān ke baare

is bastī-e-ḳhush-āb pur-kaif fazā.eñ

kab sochne detī haiñ paristān ke baare

khone tujhe mujh ko vahī fikr hai lāhiq

hotī hai musāfir ko jo sāmān ke baare

'ājiz' tirī duniyā ke ye insān ajab haiñ

insān ko bahkāte haiñ yazdān ke baare

Top Urdushayar.com