raaz  meñ  rakh  tirī  rusvā.ī  kā  qissa  maiñ  huuñ
mujh  ko  pahchān  tirā  dūsrā  chehra  maiñ  huuñ
dafan  haiñ  tere  ka.ī  raaz  mire  siine  meñ
jo  tire  ghar  se  guzartā  hai  vo  rasta  maiñ  huuñ
muddatoñ  ba.ad  bhī  jaarī  hai  azāboñ  kā  safar
qatra  qatra  tirī  āñkhoñ  se  Tapaktā  maiñ  huuñ
aa  zarā  baiTh  mire  paas  bhī  kuchh  pul  ke  liye
mere  hamdam  tirī  dīvār  kā  saaya  maiñ  huuñ
ab  bhī  zinda  huuñ  tirī  ruuh  meñ  ġham  kī  sūrat
kaun  kahtā  hai  ki  TuuTā  huā  rishta  maiñ  huuñ
mujh  ko  pūjegī  tah-e-ḳhāk  jo  duniyā  hai  'shakīl'
kal  jo  TuuTā  thā  falak  se  vo  sitāra  maiñ  huuñ