Suhail Akhtar

dast-bardar hua main bhi talabgari se

Suhail Akhtar

dast-bardār huā maiñ bhī talabgārī se
ab kahīñ jā ke ifāqa huā bīmārī se
ḳhaak meñ ḳhud ko milāyā to jaḌeñ paa.ī haiñ
kaise rokegā koī mujh ko numūdārī se
TuuT hī jaate haiñ iḳhlās ke putle āḳhir
so mujhe bach ke nikalnā hai adākārī se
ab bhī kuchh chīzeñ haiñ bāzār meñ jo aa.ī nahīñ
ab bhī munkir hai koī merī ḳharīdārī se
ham akahre kabhī bar-vaqt samajh paate nahīñ
kaam kar jaatā hai chup-chāp vo tahdārī se
dil-e-nādān ulaT detā hai akasr ye bisāt
aql yuuñ chaal bahut chaltī hai ayyārī se
jab achānak hī har ik faisla honā hai yahāñ
mujh ko bhī koī ilāqa nahīñ tayyārī se
saḳht-jānī ke mile kitne hī e.azāz mujhe
aur miltā bhī kyā ummīd kī be-zārī se
jaltā uupar se huuñ andar se nikhartā huuñ 'suhail'
ḳhud ko yuuñ aag lagātā huuñ maiñ fankārī se
Top Urdushayar.com