sheva-e-zabt  ko  rusvā  dil-e-nāshād  na  kar
lab-e-ḳhāmosh  ko  ālūda-e-fariyād  na  kar
dil  hai  ganjīna-e-sad-gauhar-e-asrār-vafā
ai  nigāh-e-ġhalat-andāz  ise  barbād  na  kar
saf.ha-e-dil  se  miTā  azmat-e-māzī  ke  nuqūsh
haiñ  ye  bhūle  hue  afsāne  inheñ  yaad  na  kar
sheva-e-jaur  ko  rakh  ahl-e-vafā  tak  mahdūd
aam  faiz-e-ḳhalish-e-dard-e-ḳhudā-dād  na  kar
rakh  nazar  vus.at-e-dāmān-karam  par  apne
tū  ḳhatā-posh  hai  'maḳhfī'  kī  ḳhatā  yaad  na  kar