kuchh  had  bhī  ai  falak  sitam-e-nā-ravā  kī  hai
har  saañs  dāstāñ  tire  jaur-o-jafā  kī  hai
hājat-ravā  kī  aur  na  zarūrat  duā  kī  hai
ab  chhoḌ  chārasāz  jo  marzī  ḳhudā  kī  hai
dāmān-e-zabt  chaak  to  kar  de  junūñ  magar
tauhīn  ye  mire  dil-e-ġham-āshnā  kī  hai
ḳhūn-e-hayāt  ḳhūn-e-tarab  ḳhūn-e-ārzū
ye  sharah-e-muḳhtasar  mirī  umr-e-vafā  kī  hai
ġhairat  ne  merī  ḳhud  hī  safīna  Dubo  diyā
dekhā  nazar  phirī  huī  kuchh  nāḳhudā  kī  hai
barbādiyoñ  se  dars-e-baqā  le  rahī  huuñ  maiñ
ye  sunnat-e-kuhan  shah-e-karb-o-balā  kī  hai
irfān-e-ġham  se  nafs  kā  irfāñ  huā  nasīb
sīḌhī  ye  pahlī  ma.arifat-e-kibriyā  kī  hai
ham  se  ḳhizāñ-nasīb  qafas  meñ  bhī  shaad  haiñ
laa.ī  jo  bū-e-gul  ye  ināyat  sabā  kī  hai
ḳhuddāriyoñ  ne  ziist  ko  āsāñ  banā  diyā
betābiyoñ  kī  ḳhū  hai  na  āh-o-bakā  kī  hai
maanā  ki  tujh  ko  aish  kī  jannat  nasīb  hai
tahqīr-e-ġham  na  kar  ki  ye  ne.amat  ḳhudā  kī  hai
is  zindagī  ne  saath  kisī  kā  nahīñ  diyā
kis  bevafā  se  tujh  ko  tamannā  vafā  kī  hai
kashtī  ko  merī  maujoñ  se  pahuñchā  nahīñ  guzar
minnat-gudāz  ye  karam-e-nāḳhudā  kī  hai
'maḳhfī'  panāh-e-chādar-e-zehrā  na  chhoḌnā
ta.alīm-e-nau  sunā  hai  ki  dushman  hayā  kī  hai