vo  jitnā  mujhe  āzmātā  rahegā
yaqīñ  merā  utnā  gañvātā  rahegā
kabhī  pūchh  le  tū  razā  is  ke  man  kī
kahāñ  tak  tū  apnī  chalātā  rahegā
ye  haivāniyat  jurm  kartī  rahegī
sharāfat  pe  ilzām  aatā  rahegā
zamāna  hai  bahrā  bache  kaise  izzat
koī  shor  kab  tak  machātā  rahegā
zamāna  huā  ḳhud  meñ  chālāk  itnā
tū  jab  tak  Daregā  Darātā  rahegā
rahegī  mohabbat  javāñ  mere  dil  meñ
tirā  dard  jab  tak  satātā  rahegā
ġhamoñ  ko  bhī  hañs  kar  vo  jī  legā  'kalkal'
ḳhudā  ko  jo  bartar  batātā  rahegā