dukh  se  ġhairoñ  ke  pighaltā  kaun  hai
ḳhud  se  bāhar  ab  nikaltā  kaun  hai
barf  sī  tāsīr  sab  kī  ho  ga.ī
zulm  sah  kar  ab  ubaltā  kaun  hai
ġhair  ko  hī  sab  badalne  meñ  rahe
apnī  fitrat  ko  badaltā  kaun  hai
chhoḌ  do  us  ko  usī  ke  haal  par
ishq  meñ  paḌ  kar  sambhaltā  kaun  hai
zindagī  bhar  jo  na  khaa.e  Thokareñ
khol  kar  āñkheñ  yuuñ  chaltā  kaun  hai
duur  mujh  se  ho  gayā  bachpan  magar
mujh  meñ  bachche  sā  machaltā  kaun  hai
ḳhvāhishoñ  par  qaid  'kalkal'  kyuuñ  lage
umr  ke  sāñche  meñ  Dhaltā  kaun  hai