ḳhvāb  āñkhoñ  ko  hamārī  jo  dikhā.e  aa.ina
ḳhuun  ke  aañsū  vahī  ham  ko  rulā.e  aa.ina
aadmī  kī  fitrateñ  jaise  samajhtā  ho  sabhī
aadmī  ke  saath  aise  muskurā.e  aa.ina
bāñTanā  to  chāhtā  hai  dukh  buzurgoñ  ke  magar
jhurriyoñ  ko  kis  tarah  un  kī  chhupā.e  aa.ina
aa.ine  ke  sāmne  se  koī  to  haTtā  nahīñ
aur  kisī  ko  ḳhvāb  tak  ye  Darā.e  aa.ina
ġham  nahīñ  be-shak  bikhar  jaa.e  kisī  din  TuuT  kar
jhuuT  ke  aage  na  sar  hargiz  jhukā.e  aa.ina
bol  kar  sach  kaun  kitne  din  salāmat  rah  sakā
Dar  ke  saa.e  meñ  hayāt  apnī  bitā.e  aa.ina
vaqt  chehre  par  jab  us  ke  likh  gayā  nākāmiyāñ
kaise  vo  dīvār  par  'kalkal'  sajā.e  aa.ina