shikāyat  kareñ  kyā  shikāyat  se  kyā  ho
agar  jañg  lāzim  hai  to  hausla  ho
bashar  kā  to  itnā  na  dil  saaf  hogā
tum  insāñ  kī  sūrat  meñ  jaise  ḳhudā  ho
ye  sarkash  samundar  nikal  pāoge  jab
junūñ  saañs  lene  kā  sar  par  chaḌhā  ho
mohabbat  meñ  ho  to  bas  itnā  kahūñgā
maza  chaar  din  kā  hai  lambī  sazā  ho
koī  har  musībat  se  ham  ko  nikāle
asar  kar  rahī  dostoñ  kī  duā  ho
ye  parvāz  kā  ḳhvāb  achchhā  hai  lekin
zarā  pahle  qadmoñ  pe  apne  khaḌā  ho
siyāsat  se  ham  ko  tumheñ  kyā  milegā
ye  dhanda  hai  jis  kā  usī  kā  bhalā  ho
tabassum  ki  pīchhe  kahīñ  kuchh  chhupā  hai
hameñ  sab  patā  hai  tum  ham  se  ḳhafā  ho
abhī  jo  bhī  miltā  hai  taslīm  kar  lo
phir  aage  safar  meñ  na  jaane  ki  kyā  ho