mujhe  is  shahr  kī  āb-o-havā  achchhī  nahīñ  lagtī
musalsal  ḳhud-farebī  kī  qabā  achchhī  nahīñ  lagtī
ilāhī  ye  maraz  kaisā  lagā  mujh  ko  na  jaane  kyoñ
duā  achchhī  nahīñ  lagtī  davā  achchhī  nahīñ  lagtī
ḳhushī  kī  bhī  ḳhabar  se  ab  to  dilchaspī  nahīñ  mujh  ko
ki  ab  ai  zindagī  tujh  se  vafā  achchhī  nahīñ  lagtī
jahāñ  ke  sāmne  ham  ko  na  tum  pahchān  paate  ho
tumhārī  ye  adā  ham  ko  zarā  achchhī  nahīñ  lagtī
maiñ  aisī  bazm-e-shor-o-ġhul  se  niklā  huuñ  ki  ab  mujh  ko
koī  aahaT  kisī  kī  bhī  sadā  achchhī  nahīñ  lagtī
maiñ  kahnā  chāhtā  huuñ  un  se  lekin  kah  nahīñ  paatā
ki  mujh  ko  un  kī  ḳhū  un  kī  anā  achchhī  nahīñ  lagtī
duā.eñ  aur  fariyādeñ  falak  se  lauT  aatī  haiñ
ḳhudā  ko  ġhāliban  merī  razā  achchhī  nahīñ  lagtī
tū  kyoñ  kahtā  hai  sajdoñ  meñ  mujhe  rab  umr  lambī  de
mujhe  tere  laboñ  par  ye  duā  achchhī  nahīñ  lagtī
kabhī  terī  sabhī  nādāniyoñ  par  jaan  dete  the
magar  ab  to  tirī  koī  ḳhatā  achchhī  nahīñ  lagtī
mujhe  tum  chhoḌ  do  is  haal  par  ye  haal  achchhā  hai
paḌī  hai  dard  kī  ḳhū  ab  shifā  achchhī  nahīñ  lagtī
ujāloñ  se  to  ab  'afrañg'  kyā  ummīd  kījegā
magar  ye  tīrgī  ham  se  ḳhafā  achchhī  nahīñ  lagtī