palaT  kar  na  dekheñge  tum  ko  dobāra
chalo  ab  ye  va.ada  hai  tum  se  hamārā
maiñ  vo  to  nahīñ  huuñ  jo  hotā  rahā  huuñ
magar  ab  na  hogā  vo  honā  gavārā
kahīñ  fā.eda  to  nazar  hī  na  aa.e
jahāñ  dekhiye  bas  ḳhasāra  ḳhasāra
jo  miTTī  meñ  milnā  hai  sab  ko  yahīñ  kī
to  karte  bhī  kyoñ  ho  hamārā  tumhārā
hameñ  saaf  lafzoñ  meñ  khul  kar  batāo
samajhte  nahīñ  ham  ishāra-vishāra
ye  kyā  mājrā  hai  musībat  hai  kaisī
jahāñ  jaa.eñ  nazreñ  vahīñ  vo  nazāra
banāo  vo  kirdār  apnā  ki  duniyā
ye  soche  zamīñ  par  hai  koī  sitāra
hameñ  apne  uupar  bharosā  hai  puurā
rakho  paas  apne  tum  apnā  sahārā
ki  mushkil  meñ  'afrañg'  ye  yaad  rakhnā
yaqīnan  samundar  kā  hogā  kināra