maraz  lagtā  hai  jo  mujh  ko  use  merī  davā  samjhe
divāna  ho  gayā  huuñ  maiñ  divānoñ  ko  vo  kyā  samjhe
maiñ  apne  aap  meñ  ḳhush  huuñ  mujhe  is  se  ġharaz  kyā  hai
ki  ye  mujh  ko  bhalā  samjhe  ki  vo  mujh  ko  burā  samjhe
bichhaḌne  kā  vo  ham  se  naam  tak  lene  se  ghabrā.e
jise  ham  hijr  kahte  haiñ  use  vo  bad-duā  samjhe
gunāhoñ  se  bachā  jaa.e  kahāñ  tak  is  zamāne  meñ
ki  har  ik  moḌ  par  milte  haiñ  vo  jin  se  ḳhudā  samjhe
bharosā  kyā  mohabbat  kab  tumheñ  badnām  kar  jaa.e
ki  āshiq  ko  hamesha  hī  zamāna  sar-phirā  samjhe
hameñ  vo  kis  sazā  ke  vāste  tayyār  kartā  hai
jo  apne  bhī  gunāhoñ  ko  hamārī  hī  ḳhatā  samjhe
vo  ham  se  niiñd  ke  raste  sahī  par  rū-ba-rū  to  ho
kabhī  to  āñkhoñ  meñ  bhar  le  hameñ  bhī  ḳhvāb  sā  samjhe
hameñ  'afrañg'  zālim  se  shikāyat  hai  to  itnī  hai
ham  us  ko  to  samajhte  haiñ  vo  ham  ko  bhī  zarā  samjhe