har  ek  baat  pe  kyuuñ  pech-o-tāb  hotā  hai
azīzo  jurm-e-mohabbat  azaab  hotā  hai
farāz-e-bām  pe  dekhā  hai  jab  kabhī  un  ko
nazar  meñ  beach  ruḳh-e-māhtāb  hotā  hai
faqat  ye  ishq-o-mohabbat  kī  ham  pe  aafat  hai
ki  jab  bhī  hotā  hai  ham  par  itaab  hotā  hai
jahāñ  pe  zulm-o-sitam  had  se  apnī  baḌhte  haiñ
yaqīn  maano  vahīñ  inqalāb  hotā  hai
na  anjuman  meñ  Thikāna  na  apne  ghar  meñ  kahīñ
ḳharāb  bazm  bhī  ḳhāna-ḳharāb  hotā  hai
savāl-e-ajr-e-mohabbat  pe  vo  bigaḌ  baiThā
itaab  kartā  hai  jab  lā-javāb  hotā  hai
sambhal  ke  baiTh  zarā  dil  ko  thaam  ai  'shādāñ'
kisī  kā  husn  abhī  be-naqāb  hotā  hai