Shanti Lal Malhotra

kisi ke lab pe bhole-pan se mera nam hai shayad

Shanti Lal Malhotra

Shorkot, Punjab, Pakistan

1938

kisī ke lab pe bhole-pan se merā naam hai shāyad

mirī bechārgī se phir kisī ko kaam hai shāyad

ye halchal machī hai aaj jo saare zamāne meñ

sunā hai kuchh hamāre vāste paiġhām hai shāyad

tumheñ bhī raas aa.e na aa.e aaj aalam

tumhārā bhī hamārī tarah anjām hai shāyad

zamāne ko nahīñ bhāyā mirā ḳhāmosh rahnā

ḳhamoshī bhī mirī ab morid-e-ilzām hai shāyad

na kaalī raat kaTtī hai na raushan din guzartā hai

kisī se dil lagāne yahī anjām hai shāyad

asar kartā agar naala to patthar mom ho jaatā

abhī jazb-e-mohabbat hamārā ḳhaam hai shāyad

faqat rusvā.iyāñ likkhī haiñ 'shādāñ' ke muqaddar meñ

rah-e-ulfat meñ chalne yahī in.aam hai shāyad

Top Urdushayar.com