sū-e-manzil  koī  kārvāñ  luT  gayā
kis  kī  ummīd  kā  ye  jahāñ  luT  gayā
tū  ne  uf  tak  na  kī  dekhtā  rah  gayā
tere  kūche  meñ  ik  kārvāñ  luT  gayā
koī  hasrat  na  gulchīñ  ke  dil  meñ  rahī
phuul  murjhā  ga.e  gulistāñ  luT  gayā
tum  to  hushiyār  the  kyuuñ  hue  be-ḳhabar
dil  to  nādān  thā  nā-gahāñ  luT  gayā
koī  aa.e  madad  ke  liye  ab  mirī
gul-ruḳhāñ  luT  gayā  mah-vashāñ  luT  gayā
hai  shikāyat  tujhī  se  mire  mehrbāñ
pesh  darbāñ  tirā  mehmāñ  luT  gayā
shaiḳh  bhī  kitnā  'shādāñ'  balā-nosh  thā
bātoñ  bātoñ  meñ  pīr-e-muġhāñ  luT  gayā