dil  ko  nasīb  soz-e-ġham-e-gulsitāñ  kahāñ
hotā  to  aaj  hotā  ye  dard-e-nihāñ  kahāñ
zauq-e-bahār  hī  hai  na  ḳhauf-e-ḳhizāñ  mujhe
gum-sum  hai  apne  haal  meñ  tab-e-ravāñ  kahāñ
jis  se  guloñ  ke  zabt  kā  dāman  ho  taar  taar
hai  andalīb  terā  vo  zauq-e-fuġhāñ  kahāñ
ho  jaa.e  ab  na  ḳhatm  fasāna  firāq  kā
haiñ  nūr-e-sub.h  raat  kī  nairañgiyāñ  kahāñ
le  jā.egī  sabā  mirā  paiġhām  tū  magar
hogā  subuk  havā  se  mizāj-e-garāñ  kahāñ
le  aa.e  toḌ  toḌ  ke  taare  falak  se  ham
lekin  nasīb  quvvat-e-husn-e-bayāñ  kahāñ
'shādāñ'  na  DhūñDh  arsa-e-ġhurbat  meñ  āsare
is  meñ  chaman  kī  arzish-e-arz-o-samāñ  kahāñ