nigāh-e-qahr  hogī  yā  mohabbat  kī  nazar  hogī
maza  de  jā.egī  dil  se  agar  ai  sīm-bar  hogī
tumheñ  jaldī  hai  kyā  jaanā  abhī  to  raat  baaqī  hai
na  ghabrāo  zarā  Thahro  koī  dam  meñ  sahar  hogī
abhī  se  saare  aalam  meñ  to  ik  andher  barpā  hai
na  jaane  kyā  ġhazab  Dhā.egī  jab  ye  tā-kamar  hogī
na  lā.egī  to  kyā  bechain  bhī  un  ko  na  kar  degī
hamārī  aah  kyā  kam-baḳht  itnī  be-asar  hogī
ham  us  ko  dekh  leñge  aur  vo  ham  ko  na  dekhegī
nigāh-e-yār  kyā  mahfil  meñ  itnī  be-ḳhabar  hogī
chalā  jaatā  to  huuñ  maiñ  bahrūp  ban  kar  un  kī  mahfil  meñ
kahūñgā  kyā  rasā.ī  gar  kahīñ  muñh  dekh  kar  hogī
nigāh-e-lutf  se  dekhegā  mujh  ko  ik  jahāñ  to  kyā
agar  tum  dekh  loge  merī  qismat  arsh  par  hogī
asīrī  meñ  bhī  yād-e-gul  karegī  is  tarah  bulbul
qafas  ke  dar  pe  sar  hogā,  su-e-gulshan  nazar  hogī
jo  be-jurmī  pe  bhī  'bismil'  ko  tum  ne  kar  diyā  bismil
batāoge  bhalā  kyā  hashr  meñ  pursish  agar  hogī