saarī  ummīd  rahī  jaatī  hai
haa.e  phir  sub.h  huī  jaatī  hai
niiñd  aatī  hai  na  vo  aate  haiñ
raat  guzrī  hī  chalī  jaatī  hai
majma.a-e-hashr  meñ  rūdād-e-shabāb
vo  sune  bhī  to  kahī  jaatī  hai
dāstāñ  puurī  na  hone  paa.ī
zindagī  ḳhatm  huī  jaatī  hai
vo  na  aa.e  haiñ  to  bechain  hai  ruuh
abhī  aatī  hai  abhī  jaatī  hai
zindagī  aap  ke  dīvāne  kī
kisī  sūrat  se  kaTī  jaatī  hai
ġham  meñ  parvānoñ  ke  ik  muddat  se
sham.a  ghultī  hī  chalī  jaatī  hai
aap  mahfil  se  chale  jaate  haiñ
dāstāñ  baaqī  rahī  jaatī  hai
ham  to  'bismil'  hī  rahe  ḳhair  huī
ishq  meñ  jaan  chalī  jaatī  hai