ye  but  phir  ab  ke  bahut  sar  uThā  ke  baiThe  haiñ
ḳhudā  ke  bandoñ  ko  apnā  banā  ke  baiThe  haiñ
hamāre  sāmne  jab  bhī  vo  aa  ke  baiThe  haiñ
to  muskurā  ke  nigāheñ  churā  ke  baiThe  haiñ
kaleja  ho  gayā  zaḳhmī  firāq-e-jānāñ  meñ
hazāroñ  tīr-e-sitam  dil  pe  khā  ke  baiThe  haiñ
tum  ek  baar  to  ruḳh  se  naqāb  sarkā  do
hazāroñ  tālib-e-dīdār  aa  ke  baiThe  haiñ
ubhar  jo  aatī  hai  har  baar  mausam-e-gul  meñ
ik  aisī  choT  kaleje  meñ  khā  ke  baiThe  haiñ
ye  but-kada  hai  idhar  aa.iye  zarā  'bismil'
butoñ  kī  yaad  meñ  bande  ḳhudā  ke  baiThe  haiñ
pasand  aa.egī  ab  kis  kī  shakl  'bismil'  ko
nazar  meñ  aap  jo  us  kī  samā  ke  baiThe  haiñ