ab  rahā  kyā  hai  jo  ab  aa.e  haiñ  aane  vaale
jaan  par  khel  chuke  jaan  se  jaane  vaale
ye  na  samjhe  the  ki  ye  din  bhī  haiñ  aane  vaale
uñgliyāñ  ham  pe  uThā.eñge  uThāne  vaale
kaun  samjhā.e  na  iThlā  ke  sar-e-rah  chaliye
haiñ  ye  andāz  gunahgār  banāne  vaale
pūchhne  tak  ko  na  aayā  koī  allāh  allāh
thak  ga.e  paañv  kī  zanjīr  bajāne  vaale
kahīñ  ronā  na  paḌe  tujh  ko  zamāne  ke  saath
are  o  vaqt  kī  jhankār  par  gaane  vaale
aap  andāz-e-nazar  apnā  badalte  hī  nahīñ
aur  bure  bante  haiñ  bechāre  zamāne  vaale
pūchhtī  hai  dar-o-dīvār  se  bīmār  kī  aañkh
ab  kahāñ  haiñ  vo  mire  naaz  uThāne  vaale
ba-ḳhudā  bhuul  ga.e  apnī  musībat  'bismil'
yaad  jab  aa.e  mohammad  ke  gharāne  vaale