ab  mulāqāt  kahāñ  shīshe  se  paimāne  se
fātiha  paḌh  ke  chale  aa.e  haiñ  mai-ḳhāne  se
kyā  kareñ  jām-o-subū  haath  pakaḌ  lete  haiñ
jī  to  kahtā  hai  ki  uTh  jā.iye  mai-ḳhāne  se
phūñk  kar  ham  ne  har  ik  gaam  pe  rakkhā  hai  qadam
āsmāñ  phir  bhī  na  baaz  aayā  sitam  Dhāne  se
ham  ko  jab  aap  bulāte  haiñ  chale  aate  haiñ
aap  bhī  to  kabhī  aa  jā.iye  bulvāne  se
are  o  va.ada-farāmosh  pahāḌ  aisī  raat
kyā  kahūñ  kaise  kaTī  tere  nahīñ  aane  se
yaad  rakh!  vaqt  ke  andāz  nahīñ  badleñge
are  allāh  ke  bande  tire  ghabrāne  se
sar  chaḌhā.eñ  kabhī  āñkhoñ  se  lagā.eñ  saaqī
tere  hāthoñ  kī  chhalak  jaa.e  jo  paimāne  se
ḳhālī  rakkhī  huī  botal  ye  patā  detī  hai
ki  abhī  uTh  ke  gayā  hai  koī  mai-ḳhāne  se
aa.egī  hashr  kī  nāseh  kī  samajh  meñ  kyā  ḳhaak
jab  samajhdār  samajhte  nahīñ  samjhāne  se
barq  ke  Dar  se  kaleje  se  lagā.e  hue  hai
chaar  tinke  jo  uThā  laa.ī  hai  vīrāne  se
dil  zarā  bhī  na  pasījā  but-e-kāfir  terā
ka.aba  allāh  kā  ghar  ban  gayā  but-ḳhāne  se
sham.a  bechārī  jo  ik  mūnis-e-tanhā.ī  thī
bujh  ga.ī  vo  bhī  sar-e-shām  havā  aane  se
ġhair  kaahe  ko  suneñge  tirā  dukhḌā  'bismil'
un  ko  fursat  kahāñ  hai  apnī  ġhazal  gaane  se