kahāñ  aayā  hai  dīvānoñ  ko  terā  kuchh  qarār  ab  tak
tire  va.ade  pe  baiThe  kar  rahe  haiñ  intizār  ab  tak
ḳhudā  ma.alūm  kyuuñ  lauTī  nahīñ  jā  kar  bahār  ab  tak
chaman  vaale  chaman  ke  vāste  haiñ  be-qarār  ab  tak
burā  gulchīñ  ko  kyuuñ  kahiye  bure  haiñ  ḳhud  chaman  vaale
bhale  hote  to  kyā  muñh  dekhtī  rahtī  bahār  ab  tak
chaman  kī  yaad  aa.ī  dil  bhar  aayā  aañkh  bhar  aa.ī
jahāñ  bolā  koī  gulshan  meñ  baaqī  hai  bahār  ab  tak
sabab  jo  bhī  ho  sūrat  kah  rahī  hai  raat  jaage  ho
gavāhī  ke  liye  baaqī  hai  āñkhoñ  meñ  ḳhumār  ab  tak
qayāmat  aa.e  to  un  ko  bhī  aate  aate  aa.egā
vo  jin  ko  tere  va.ade  par  nahiñ  hai  e'tibār  ab  tak
salāmat  mai-kada  thoḌī  bahut  un  ko  bhī  de  saaqī
takalluf  meñ  jo  baiThe  rah  ga.e  kuchh  bāda-ḳhvār  ab  tak
ḳhudārā  dekh  le  duniyā  ki  phir  ye  bhī  na  dekhegī
chaman  se  jaate  jaate  rah  ga.ī  hai  jo  bahār  ab  tak
qafas  meñ  rahte  rahte  ek  muddat  ho  ga.ī  phir  bhī
chaman  ke  vāste  rahtī  hai  bulbul  be-qarār  ab  tak
ḳhabar  bhī  hai  tujhe  mai-ḳhvār  to  badnām  hai  saaqī
dabā  kar  kitnī  botal  le  ga.e  parhez-gār  ab  tak
are  dāman  chhuḌā  kar  jaane  vaale  kuchh  ḳhabar  bhī  hai
tire  qadmoñ  se  hai  lipTī  huī  ḳhāk-e-mazār  ab  tak
ye  kahne  vaale  kahte  haiñ  ki  tauba  kar  chuke  'bismil'
magar  dekhe  ga.e  haiñ  mai-kade  meñ  baar  baar  ab  tak