sochne  kā  bhī  nahīñ  vaqt  mayassar  mujh  ko
ik  kashish  hai  jo  liye  phirtī  hai  dar  dar  mujh  ko
apnā  tūfāñ  na  dikhā.e  vo  samundar  mujh  ko
chaar  qatre  na  hue  jis  se  mayassar  mujh  ko
umr  bhar  dair-o-haram  ne  diye  chakkar  mujh  ko
be-kasī  kā  ho  burā  le  ga.ī  ghar  ghar  mujh  ko
shukr  hai  rah  gayā  parda  mirī  uryānī  kā
ḳhaak  kūche  kī  tire  ban  ga.ī  chādar  mujh  ko
chup  rahūñ  maiñ  to  ḳhamoshī  bhī  gila  ho  jaa.e
aap  jo  chāheñ  vo  kah  deñ  mire  muñh  par  mujh  ko
ḳhaak  chhānā  kiye  ham  qāfile  vāloñ  ke  liye
qāfile  vāloñ  ne  dekhā  bhī  na  muḌ  kar  mujh  ko
aap  zālim  nahīñ,  zālim  hai  magar  aap  kī  yaad
vahī  kam-baḳht  satātī  hai  barābar  mujh  ko
inqilābāt  ne  kuchh  aisā  pareshān  kiyā
ki  sujhā.ī  nahīñ  detā  hai  tirā  dar  mujh  ko
jur.at-e-shauq  to  kyā  kuchh  nahīñ  kahtī  lekin
paañv  phailāne  nahīñ  detī  hai  chādar  mujh  ko
mil  ga.ī  tishnagī-e-shauq  se  fursat  tā-umr
apne  hāthoñ  se  diyā  aap  ne  sāġhar  mujh  ko
ab  mirā  jazba-e-taufīq  hai  aur  maiñ  'bismil'
ḳhizr  gum  ho  ga.e  raste  pe  lagā  kar  mujh  ko