ab  dam-ba-ḳhud  haiñ  nabz  kī  raftār  dekh  kar
tum  hañs  rahe  ho  hālat-e-bīmār  dekh  kar
saudā  vo  kyā  karegā  ḳharīdār  dekh  kar
ghabrā  gayā  jo  garmī-e-bāzār  dekh  kar
allāh  tere  haath  hai  ab  ābrū-e-shauq
dam  ghuT  rahā  hai  vaqt  kī  raftār  dekh  kar
detā  kahāñ  hai  vaqt  paḌe  par  koī  bhī  saath
ham  ko  musībatoñ  meñ  giraftār  dekh  kar
aate  haiñ  mai-kade  kī  taraf  se  janāb-e-shaiḳh
sargoshiyāñ  haiñ  laġhzish-e-raftār  dekh  kar
ġhairoñ  ne  ġhair  jaan  ke  ham  ko  uThā  diyā
baiThe  jahāñ  bhī  sāya-e-dīvār  dekh  kar
aate  haiñ  bazm-e-yārāñ  meñ  pahchān  hī  gayā
mai-ḳhvār  kī  nigāh  ko  mai-ḳhvār  dekh  kar
is  madh-bharī  nigāh  kī  allāh-re  kashish
sau  baar  dekhnā  paḌā  ik  baar  dekh  kar
tum  rahnumā-e-vaqt  sahī  phir  bhī  chand  gaam
chalnā  paḌegā  vaqt  kī  raftār  dekh  kar
vaqt-e-sahar  guzar  ga.ī  kyā  kiyā  na  pūchhiye
gardan  meñ  un  kī  sūkhe  hue  haar  dekh  kar
talchhaT  milā  ke  detā  hai  rindoñ  ko  sāqiyā
sāġhar  paTak  na  de  koī  hoshyār  dekh  kar
'bismil'  ko  kyā  hai  chādar-e-rahmat  rasūl  kī
saaye  meñ  le  hī  legī  gunahgār  dekh  kar