ḳhizāñ  jab  tak  chalī  jaatī  nahīñ  hai
chaman  vāloñ  ko  niiñd  aatī  nahīñ  hai
jafā  jab  tak  ki  chauñkātī  nahīñ  hai
mohabbat  hosh  meñ  aatī  nahīñ  hai
jo  rotā  huuñ  to  hañstā  hai  zamāna
jo  sotā  huuñ  to  niiñd  aatī  nahīñ  hai
tumhārī  yaad  ko  allāh  rakkhe
jab  aatī  hai  to  phir  jaatī  nahīñ  hai
kalī  bulbul  se  shoḳhī  kar  rahī  hai
zarā  phūloñ  se  sharmātī  nahīñ  hai
jahāñ  mai-kash  bhī  jaa.eñ  Darte  Darte
vahāñ  vaa.iz  ko  sharm  aatī  nahīñ  hai
nahīñ  miltī  to  hañgāme  haiñ  kyā  kyā
jo  miltī  hai  to  pī  jaatī  nahīñ  hai
javānī  kī  kahānī  dāvar-e-hashr
sar-e-mahfil  kahī  jaatī  nahīñ  hai
kahāñ  tak  shaiḳh  ko  samjhā.iyegā
burī  aadat  kabhī  jaatī  nahīñ  hai
ghaḌī  bhar  ko  jo  bahlā.e  mirā  dil
koī  aisī  ghaḌī  aatī  nahīñ  hai
hañsī  'bismil'  kī  hālat  par  kisī  ko
kabhī  aatī  thī  ab  aatī  nahīñ  hai