tañg  aa  ga.e  haiñ  kyā  kareñ  is  zindagī  se  ham
ghabrā  ke  pūchhte  haiñ  akele  meñ  jī  se  ham
majbūriyoñ  ko  apnī  kaheñ  kyā  kisī  se  ham
laa.e  ga.e  haiñ,  aa.e  nahīñ  haiñ  ḳhushī  se  ham
kam-baḳht  dil  kī  maan  ga.e,  baiThnā  paḌā
yuuñ  to  hazār  baar  uThe  us  galī  se  ham
yārab!  burā  bhī  ho  dil-e-ḳhāna-ḳharāb  kā
sharmā  rahe  haiñ  is  kī  badaulat  kisī  se  ham
din  hī  pahāḌ  hai  shab-e-ġham  kyā  ho  kyā  na  ho
ghabrā  rahe  haiñ  aaj  sar-e-shām  hī  se  ham
dekhā  na  tum  ne  aañkh  uThā  kar  bhī  ek  baar
guzre  hazār  baar  tumhārī  galī  se  ham
matlab  yahī  nahīñ  dil-e-ḳhāna-ḳharāb  kā
kahne  meñ  us  ke  aa.eñ  guzar  jaa.eñ  jī  se  ham
chheḌā  adū  ne  ruuTh  ga.e  saarī  bazm  se
bole  ki  ab  na  baat  kareñge  kisī  se  ham
tum  sun  ke  kyā  karoge  kahānī  ġharīb  kī
jo  sab  kī  sun  rahā  hai  kaheñge  usī  se  ham
mahfil  meñ  us  ne  ġhair  ko  pahlū  meñ  dī  jagah
guzrī  jo  dil  pe  kyā  kaheñ  'bismil'  kisī  se  ham