sarfaroshī  kī  tamannā  ab  hamāre  dil  meñ  hai
dekhnā  hai  zor  kitnā  bāzū-e-qātil  meñ  hai
ai  shahīd-e-mulk-o-millat  maiñ  tire  uupar  nisār
le  tirī  himmat  kā  charchā  ġhair  kī  mahfil  meñ  hai
vaa.e  qismat  paañv  kī  ai  zo.af  kuchh  chaltī  nahīñ
kārvāñ  apnā  abhī  tak  pahlī  hī  manzil  meñ  hai
rahrav-e-rāh-e-mohabbat  rah  na  jaanā  raah  meñ
lazzat-e-sahrā-navardī  dūrī-e-manzil  meñ  hai
shauq  se  rāh-e-mohabbat  kī  musībat  jhel  le
ik  ḳhushī  kā  raaz  pinhāñ  jāda-e-manzil  meñ  hai
aaj  phir  maqtal  meñ  qātil  kah  rahā  hai  baar  baar
aa.eñ  vo  shauq-e-shahādat  jin  ke  jin  ke  dil  meñ  hai
marne  vaalo  aao  ab  gardan  kaTāo  shauq  se
ye  ġhanīmat  vaqt  hai  ḳhanjar  kaf-e-qātil  meñ  hai
māne-e-iz.hār  tum  ko  hai  hayā,  ham  ko  adab
kuchh  tumhāre  dil  ke  andar  kuchh  hamāre  dil  meñ  hai
mai-kada  sunsān  ḳhum  ulTe  paḌe  haiñ  jaam  chuur
sar-nigūñ  baiThā  hai  saaqī  jo  tirī  mahfil  meñ  hai
vaqt  aane  de  dikhā  deñge  tujhe  ai  āsmāñ
ham  abhī  se  kyuuñ  batā.eñ  kyā  hamāre  dil  meñ  hai
ab  na  agle  valvale  haiñ  aur  na  vo  armāñ  kī  bhiiḌ
sirf  miT  jaane  kī  ik  hasrat  dil-e-'bismil'  meñ  hai