Bismil Azimabadi

meri dua ki ghair pe unki nazar na ho

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
merī duā ki ġhair pe un kī nazar na ho
vo haath uThā rahe haiñ ki yārab asar na ho
ham ko bhī zid yahī hai ki terī sahar na ho
ai shab tujhe ḳhudā kī qasam muḳhtasar na ho
tum ik taraf tumhārī ḳhudā.ī hai ik taraf
hairat-zada hai dil ki kidhar ho kidhar na ho
dushvār-tar bhī sahl hai himmat ke sāmne
ye ho to koī aisī muhim hai ki sar na ho
jab vo na aa.e fātiha paḌhne to ai sabā
baaz aa gayā maiñ sham.a bhī ab nauhagar na ho
ye kah ke detī jaatī hai taskīñ shab-e-firāq
vo kaun sī hai raat ki jis kī sahar na ho
'bismil' butoñ kā ishq mubārak tumheñ magar
itne niDar na ho ki ḳhudā kā bhī Dar na ho
Top Urdushayar.com