chaman  ko  lag  ga.ī  kis  kī  nazar  ḳhudā  jaane
chaman  rahā  na  rahe  vo  chaman  ke  afsāne
sunā  nahīñ  hameñ  ujḌe  chaman  ke  afsāne
ye  rañg  ho  to  sanak  jaa.eñ  kyuuñ  na  dīvāne
chhalak  rahe  haiñ  surāhī  ke  saath  paimāne
bulā  rahā  hai  haram,  Tokte  haiñ  but-ḳhāne
khisak  bhī  jā.egī  botal  to  pakḌe  jā.eñge  riñd
janāb-e-shaiḳh  lage  aap  kyuuñ  qasam  khāne
ḳhizāñ  meñ  ahl-e-nasheman  kā  haal  to  dekhā
qafas  nasīb  pe  kyā  guzrī  hai  ḳhudā  jaane
hujūm-e-hashr  meñ  apne  gunāhgāroñ  ko
tire  sivā  koī  aisā  nahīñ  jo  pahchāne
naqāb  ruḳh  se  na  sarkī  thī  kal  talak  jin  kī
sabhā  meñ  aaj  vo  aa.e  haiñ  nāchne-gāne
kisī  kī  mast-ḳhirāmī  se  shaiḳh  nālāñ  haiñ
qadam  qadam  pe  bane  jā  rahe  haiñ  mai-ḳhāne
ye  inqalāb  nahīñ  hai  to  aur  kyā  'bismil'
nazar  badalne  lage  apne  jāne-pahchāne