Iftikhar Raghib

andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
andāz-e-sitam un kā nihāyat hī alag hai
guzrī hai jo dil par vo qayāmat hī alag hai
le jaa.e jahāñ chāhe havā ham ko uḌā kar
TuuTe hue pattoñ kī hikāyat hī alag hai
pardes meñ rah kar koī kyā paañv jamā.e
gamle meñ lage phuul kī qismat hī alag hai
jitnā hai samar jis pe vo utnā hai ḳhamīda
phaldār daraḳhtoñ kī tabī.at hī alag hai
bāhar se to lagtā hai ki shādāb hai gulshan
andar se har ik peḌ kī hālat hī alag hai
har ek ġhazal tujh se hī mansūb hai merī
andāz mirā terī badaulat hī alag hai
kis kis ko batā.ūñ ki maiñ buzdil nahīñ 'rāġhib'
is daur meñ mafhūm-e-sharāfat hī alag hai
Top Urdushayar.com