andāz-e-sitam  un  kā  nihāyat  hī  alag  hai
guzrī  hai  jo  dil  par  vo  qayāmat  hī  alag  hai
le  jaa.e  jahāñ  chāhe  havā  ham  ko  uḌā  kar
TuuTe  hue  pattoñ  kī  hikāyat  hī  alag  hai
pardes  meñ  rah  kar  koī  kyā  paañv  jamā.e
gamle  meñ  lage  phuul  kī  qismat  hī  alag  hai
jitnā  hai  samar  jis  pe  vo  utnā  hai  ḳhamīda
phaldār  daraḳhtoñ  kī  tabī.at  hī  alag  hai
bāhar  se  to  lagtā  hai  ki  shādāb  hai  gulshan
andar  se  har  ik  peḌ  kī  hālat  hī  alag  hai
har  ek  ġhazal  tujh  se  hī  mansūb  hai  merī
andāz  mirā  terī  badaulat  hī  alag  hai
kis  kis  ko  batā.ūñ  ki  maiñ  buzdil  nahīñ  'rāġhib'
is  daur  meñ  mafhūm-e-sharāfat  hī  alag  hai