Iftikhar Raghib

ek baDi jang laD raha hun

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
ik baḌī jañg laḌ rahā huuñ maiñ
hañs ke tujh se bichhaḌ rahā huuñ maiñ
jaise tum ne to kuchh kiyā hī nahīñ
saare fitne kī jaḌ rahā huuñ maiñ
ek tere liye rafīq-e-dil
ik jahāñ se jhagaḌ rahā huuñ maiñ
zindagānī mirī sañvar jaatī
gar samajhtā, bigaḌ rahā huuñ maiñ
kis kī ḳhātir ġhazal kī chādar par
gauhar-e-fikr juḌ rahā huuñ maiñ
koī chashma kabhī to phūTegā
apnī eḌī ragaḌ rahā huuñ maiñ
āp-apnā harīf huuñ 'rāġhib'
āp-apne se laḌ rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com