phir  uThāyā  jā.ūñgā  miTTī  meñ  mil  jaane  ke  ba.ad
garche  huuñ  sahmā  huā  buniyād  hil  jaane  ke  ba.ad
aap  ab  ham  se  hamārī  ḳhairiyat  mat  pūchhiye
aadmī  ḳhud  kā  kahāñ  rahtā  hai  dil  jaane  ke  ba.ad
saḳht-jānī  kī  badaulat  ab  bhī  ham  haiñ  tāza-dam
ḳhushk  ho  jaate  haiñ  varna  peḌ  hil  jaane  ke  ba.ad
ḳhauf  aatā  hai  bulandī  kī  taraf  chaḌhte  hue
gul  kā  murjhānā  hī  rah  jaatā  hai  khil  jaane  ke  ba.ad
fikr  lāhaq  hai  hamesha  misl-e-tuḳhm-e-nā-tavāñ
hashr  kyā  hogā  darūn-e-āb-o-gil  jaane  ke  ba.ad
is  tarah  hairān  haiñ  sab  dekh  kar  'rāġhib'  mujhe
jaise  koī  aa  gayā  ho  mustaqil  jaane  ke  ba.ad