ho  charāg-e-ilm  raushan  Thiik  se
log  vāqif  hoñ  na.ī  taknīk  se
ilm  se  raushan  to  hai  un  kā  dimāġh
dil  ke  goshe  haiñ  magar  tārīk  se
raa.e  us  par  mat  karo  qaa.em  koī
jānte  jis  ko  nahīñ  nazdīk  se
martaba  kis  kā  hai  kaisā  kyā  pata
baaz  aanā  chāhiye  taz.hīk  se
haath  phailānā  muqaddar  ban  na  jaa.e
peT  bharnā  chhoḌ  diije  bhiik  se
juḌ  gayā  shīsha  bharose  kā  magar
rah  ga.e  haiñ  baal  kuchh  bārīk  se
jis  kā  maqsad  adl  o  amn  o  ātishī
dil  hai  vābasta  usī  tahrīk  se
be-sabab  'rāġhib'  taḌap  uThtā  hai  dil
dil  ko  samjhānā  paḌegā  Thiik  se