kahā  maiñ  ne  mirī  āñkhoñ  meñ  paanī  hai
javāb  aayā  mohabbat  kī  nishānī  hai
kahā  maiñ  ne  lagī  dil  kī  bujhānī  hai
javāb  aayā  ye  jazba  jāvedānī  hai
kahā  maiñ  ne  khileñge  kab  vafā  ke  phuul
javāb  aayā  abhī  mausam  ḳhizānī  hai
kahā  maiñ  ne  mohabbat  mehvar-e-hastī
javāb  aayā  balā-e-nā-gahānī  hai
kahā  maiñ  ne  ki  har  lamha  sisaktā  huuñ
javāb  aayā  ki  ulfat  to  nibhānī  hai
kahā  maiñ  ne  sitam  itnā  nahīñ  achchhā
javāb  aayā  mohabbat  āzmānī  hai
kahā  maiñ  ne  matā-e-zīst  ya.anī  tū
javāb  aayā  yahāñ  har  chiiz  faanī  hai
kahā  maiñ  ne  ki  dekh  in  surḳh  āñkhoñ  meñ
javāb  aayā  mohabbat  āsmānī  hai
kahā  maiñ  ne  ki  kyoñ  itne  gurezāñ  ho
javāb  aayā  tumhārī  mehrbānī  hai
kahā  maiñ  ne  mirī  ġhazloñ  kī  jaañ  ho  tum
javāb  aayā  tumhārī  ḳhush-gumānī  hai
kahā  maiñ  ne  ḳhamoshī  maar  Dālegī
javāb  un  kā  mukammal  be-zabānī  hai
kahā  maiñ  ne  sunāo  hāl-e-dil  'rāġhib'
javāb  aayā  bahut  lambī  kahānī  hai