achchhe  dinoñ  kī  aas  lagā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
kaise  kaise  ḳhvāb  dikhā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai  jazbāt  kī  rau  meñ  bahne  se
dil  meñ  sau  armān  dabā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
furqat  ke  mausam  meñ  kaise  zinda  huuñ  tum  kyā  jaano
kaise  is  dil  ko  samjhā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
chhoḌ  ke  sab  kuchh  tum  se  milne  aa  jaanā  dushvār  nahīñ
mustaqbil  kā  ḳhauf  dilā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
kaTte  kahāñ  haiñ  hijr  ke  lamhe  phir  bhī  ek  zamāne  se
terī  yādoñ  se  bahlā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
vāpas  jaane  ke  sab  raste  maiñ  ne  ḳhud  masdūd  kiye
kashtī  aur  patvār  jalā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai
jab  bhī  maiñ  ne  chāhā  'rāġhib'  dushman  par  yalġhār  karūñ
ḳhud  ko  apne  sāmne  pā  kar  maiñ  ne  ḳhud  ko  rokā  hai