din  meñ  aane  lage  haiñ  ḳhvāb  mujhe
us  ne  bhejā  hai  ik  gulāb  mujhe
guftugū  sun  rahā  huuñ  āñkhoñ  kī
chāhiye  aap  kā  javāb  mujhe
vaqt-e-fursat  kā  intizār  karūñ
itnī  fursat  kahāñ  janāb  mujhe
zo.am  thā  be-hisāb  chāhat  hai
us  ne  samjhā  diyā  hisāb  mujhe
paḌhtā  rahtā  huuñ  aap  kā  chehra
achchhī  lagtī  hai  ye  kitāb  mujhe
lījiye  aur  imtihān  mirā
aur  honā  hai  kāmyāb  mujhe
koī  aisī  ḳhatā  karūñ  'rāġhib'
jis  kā  miltā  rahe  savāb  mujhe