ho  terī  yaad  kā  dil  meñ  guzar  āhista  āhista
kare  ye  chāñd  sahrā  meñ  safar  āhista  āhista
bahut  tezī  se  duniyā  chhīn  legī  jab  tujhe  mujh  se
tū  phir  is  dil  meñ  aise  mat  utar  āhista  āhista
ki  ham  dhoke  meñ  rakkheñ  dostoñ  ko  ḳhush-kalāmī  se
hameñ  aa  hī  gayā  ye  bhī  hunar  āhista  āhista
kahīñ  se  ek  vīrānī  kā  saayā  phailtā  aayā
hue  be-rañg  sab  dīvār-o-dar  āhista  āhista
na  TuuTe  aur  kuchh  din  tujh  se  rishta  is  tarah  merā
mujhe  barbād  kar  de  tū  magar  āhista  āhista
ye  ḳhāmoshī  yahāñ  kā  husn  hai  rakhnā  ḳhayāl  is  kā
'kamāl'  is  dasht-e-vīrāñ  se  guzar  āhista  āhista