hai  tanhā.ī  meñ  bahnā  āñsuoñ  kā
sabab  chehroñ  kī  in  shādābiyoñ  kā
ba-zāhir  maiñ  bhī  ḳhush  aur  tū  bhī  masrūr
magar  dekhe  koī  aalam  diloñ  kā
vafā  parchhā.īñ  kī  andhī  parastish
mohabbat  naam  hai  mahrūmiyoñ  kā
hai  apnī  zindagī  jitnā  purānā
ta.alluq  aañkh  se  vīrāniyoñ  kā
har  ik  chehre  pe  hai  tahrīr  ġham  kī
zarūrī  to  nahīñ  khulnā  laboñ  kā
ye  maiñ  huuñ  yā  koī  ma.asūm  bachcha
ta.āqub  kar  rahā  hai  titliyoñ  kā
'kamāl'  ab  ḳhud  bhaTaktā  phir  rahā  hai
tamannā.ī  thā  uḌtī  ḳhushbuoñ  kā