dukh  uThāo  kitne  hī  ghar  bahār  karne  meñ
ek  pal  nahīñ  lagtā  phuul  sab  bikharne  meñ
zindagī  ho  kaisī  bhī  us  se  jī  nahīñ  bhartā
varna  sirf  hotā  hai  kitnā  vaqt  marne  meñ
khiḌkiyāñ  huiiñ  ḳhālī  phūloñ  aur  charāġhoñ  se
kaisā  dil  taḌaptā  hai  shahr  se  guzarne  meñ
vaqt  zaḳhm  bhartā  hai  aur  yuuñ  bhī  hotā  hai
umr  biit  jaatī  hai  ek  zaḳhm  bharne  meñ
sab  kī  baat  dohrānā  yuuñ  to  rasm-e-duniyā  hai
lutf  aur  hai  lekin  apnī  baat  karne  meñ
jā  basī  hai  vo  laḌkī  shahr  meñ  magar  ab  bhī
gūñjte  haiñ  giit  us  ke  har  pahāḌī  jharne  meñ