kyā  gumāñ  thā  ki  na  hogā  koī  ham-sar  apnā
din  Dhale  saaya  muqābil  huā  baḌh  kar  apnā
ghar  se  nālāñ  the  magar  dekhī  hai  duniyā  ham  ne
hai  agar  koī  amāñ-gāh  to  bas  ghar  apnā
dard  pe  kaisā  sharar  ban  ke  uThā  pahlū  meñ
ham  to  yuuñ  ḳhush  the  ki  dil  kar  liyā  patthar  apnā
rāt-bhar  koī  na  so.e  to  sune  shor-e-fuġhāñ
chāñd  ko  dard  sunātā  hai  samundar  apnā
dukh  uThā.e  to  bahut  rañg  ḳhud  apne  dekhe
kam  qayāmat  se  na  thā  jo  bhī  thā  manzar  apnā
roz-o-shab  apne  kisī  se  nahīñ  milte  haiñ  'kamāl'
ham  to  laa.e  haiñ  alag  sab  se  muqaddar  apnā