us  ik  ummīd  ko  to  rāhat-e-safar  na  samajh
hai  rāste  meñ  kahīñ  sāya-e-shajar  na  samajh
jo  sāmne  na  rahā  us  kā  aks  aañkh  meñ  hai
ab  itnā  ḳhālī  bhī  ye  kāsa-e-nazar  na  samajh
jo  ruuh  meñ  na  utar  jaa.e  vo  jamāl  nahīñ
jo  dil-gudāz  na  kar  de  use  hunar  na  samajh
nazar  parakh  dil-e-majrūh  nashtaroñ  pe  na  jā
har  aane  vaale  ko  tū  apnā  chāragar  na  samajh
jo  fasl-e-gul  kī  tamannā  meñ  ho  ga.e  barbād
vo  bā-murād  haiñ  ġham  un  kā  be-samar  na  samajh
har  ek  ghar  meñ  na  jab  tak  charāġh  jal  jaa.e
'kamāl'  raushan-o-ābād  apnā  ghar  na  samajh