Faiz Alam Babar

mamuli be-kar samajhne wale mujhse dur rahen

Faiz Alam Babar

ma.amūlī be-kār samajhne vaale mujh se duur raheñ

mujh ko ik āzār samajhne vaale mujh se duur raheñ

pāgal-pan meñ aa kar pāgal kuchh bhī to kar saktā hai

ḳhud ko izzat-dār samajhne vaale mujh se duur raheñ

hañs paḌtā huuñ jab koī hālāt ronā rotā hai

jīvan ko dushvār samajhne vaale mujh se duur raheñ

maiñ vāqif huuñ rañgoñ har rañg badaltī fitrat se

raunaq ko bāzār samajhne vaale mujh se duur raheñ

majnūñ aur shāhoñ meñ kuchh din maiñ bhī uTThā baiThā huuñ

sahrā ko gulzār samajhne vaale mujh se duur raheñ

manzil ḳhvāhish hai jin ko aa.eñ mere saath chaleñ

rastoñ ko hamvār samajhne vaale mujh se duur raheñ

āñchal aur malbūs pe jin āñkheñ chipkī rahtī haiñ

un ko bā-kirdār samajhne vaale mujh se duur raheñ

'faiz-ālam-bābar' ḳhud bhī yaar hai jaane kis kis

yāroñ ko makkār samajhne vaale mujh se duur raheñ

Top Urdushayar.com