ġhair  par  zulm  mire  hote  ye  kyā  hotā  hai
dekhiye  dekhiye  par  tiir  ḳhatā  hotā  hai
dil  kā  ḳhuuñ  tum  ne  kiyā  ḳhuun  kā  paanī  ġham  ne
ab  tap-e-ġham  se  vo  paanī  bhī  havā  hotā  hai
Dūbne  vaale  pahuñch  jā.eñge  sāhil  pe  ḳhabar
dāman-e-maut  pe  sab  haal  likhā  hotā  hai
aap  achchhe  haiñ  magar  aap  kā  ye  naaz  burā
ek  se  ek  zamāne  meñ  sivā  hotā  hai
paikar-e-zulm-o-jafā  arsh  na  hil  jaa.e  kahīñ
dil  dukhānā  kisī  bekas  kā  burā  hotā  hai
ishq  ke  dam  se  bagūloñ  ko  hai  gardish  'iqbāl'
varna  in  ḳhaak  ke  zarrāt  meñ  kyā  hotā  hai