jamāl  terā  tirā  husn  aa.ina  terā
ḳhilāf  ho  ke  bhī  koī  karegā  kyā  terā
havā  chaman  meñ  bikher  aatī  hai  tirī  ḳhushbū
kabhī  havāoñ  se  koī  na  bas  chalā  terā
mirī  zabān  ne  paayā  hai  ābloñ  kā  ḳhirāj
jo  bhuul  ke  bhī  kabhī  naam  le  liyā  terā
jo  ab  bhī  rakkhe  hai  zinda  lahū  kī  qīmat  ko
hai  ma.arkoñ  meñ  faqat  ek  ma.arka  terā
yuuñ  razm-e-āb-o-atsh  meñ  shikast  aab  ko  dī
vafā-kadoñ  meñ  vafā  naam  paḌ  gayā  terā
tū  kar  ke  aa  bhī  gayā  sair  āsmānoñ  kī
milā  na  DhūñDe  kisī  ko  bhī  naqsh-e-pā  terā
ḳhabar  kitāboñ  meñ  likhī  hai  tere  aane  kī
isī  se  dekhtā  rahtā  huuñ  rāsta  terā
najābatoñ  kā  jo  maskan  hai  aaj  tak  'iqbāl'
ḳhudā  kā  shukr  vahīñ  se  hai  silsila  terā